Buffalo Sandwich Roll

Grilled chicken bananay ke ajza:

- Chicken fillets (Strips) 500 gram

- Tail (Oil) 2 tbs

- Safaid mirch pisi hui (White pepper powder) 1 tsp

- Adrak lehsan pisa hua (Ginger garlic paste) 1 tbs

- Namak (Salt) 1 tsp

- Tail (Oil) grilling ke liye hasbe zaroorat

- Buffalo sauce bananay ke ajza:

- Hot sauce 1 cup

- Sirka (Vinegar) 2 tbs

- Worcestershire sauce 2 tbs

- Paprika powder 1 tsp

- Lehsan powder 1 tsp

- Namak (Salt) ½ tsp

- Makkhan (Butter) 2 tbs

- Shehed (Honey) 1 tbs

- Assemeblig ke ajza:

- Grilled chicken fillets

- Bread slices hasbe zaroorat

- Cheddar cheese slice hasbe zaroorat

- Butter ka mixture pighla hua butter ¼ cup

Sub se pehle grilled chicken bananay ke liye aik bowl mein chicken fillets, tail, safaid mirch powder, adrak lehsan ka paste aur namak daal kar achi terhan mix karein aur chicken ko 15 se 20 minute ke liye marinate karein.

- Ab pehlay se garam grill pan par tail se brush karein aur marinate kiye hue chicken pieces ko 15 se 20 minute ya achi terhan paknay tak grill karein.

- Buffalo sauce bananay ke liye pehlay se garam pan mein hot sauce, sirka, Worcestershire sauce, paprika powder, lehsan powder aur namak daal kar sauce gaarhi honay tak pakayein.

- Ab choolha band kar ke is mein butter daal kar butter pighalnay tak mix karein.

- Phir is mein honey daal kar choolha jalayein aur kuch second pakayein buffalo sauce tayyar hai.

- Ab bread slices ko bailne se bail lein aur aik murabbay ki shakal mein kinare se kinare tak chaar slice jama karein.

- Phir kinaron par pani brush karein aur kinaron ko yakja karne ke liye dabayein.

- Ab is par buffalo sauce phaila kar is par grilled chicken fillet aur chedder cheese slice rakhein.

- Phir aik bowl mein pighla hua butter daal kar achi terhan mix kar lein, butter mixture tayyar hai.

- Ab is ko baking tray mein rakh kar pehlay se garam oven mein 180 ke darjae hararat par 5 se 7 minute bake karein, Buffalo sandwich roles tayyar hain.

Powered byVectraCom