Afghani Burger

- Makai ki roti (Tortilla) 3-4

- Sausages 3-4

- Band gobhi (Cabbage) hasbe zaroorat

- Pyaz (Onion) hasbe zaroorat

- Aaaloo (Potatoes) 3-4

- Ublay anday (Boiled eggs) 2-3

- Chaat masala (Spices mix) hasbe zaroorat

- Taza dhaniya (Fresh coriander) 1 cup

- Sabz mirch (Green chili) 3

- Leemoo ka ras (Lemon juice) 2 tbs

- Lehsan kay jaway (Garlic clove) 2-3

- Timatar (Tomato) 3

- Namak (Salt) hasbe zaroorat

Sub se pehle sausages le kar un ko cut lagayein aur 2 se 3 minute light golden brown honay tak pakayein.

- Ab aaluon ko fries ki shakal mein kaat kar fry kar lein aur side par rakh dein.

- Phir timatar ko choolhe par rakhein aur thori der pakayein aur choolhe se utaar kar un ka chilka utaar lein.

- Ab aik blender mein timatar, dhaniya, sabz mirch, leemoo ka ras, lehsan aur namak daal kar achi tarhan blend kar lein, sauce tayyar hai.

- Phir aik tortilla le kar us par sausages, fries rakhein aur sauce dalein.

- Ab kuch sabzian, ublay andon ke slice rakhein aur chaat masalha chidak kar band kar dein, mazedar afghani burger tayyar hai.

Powered byVectraCom