Street Style Dahi Bhallay

Bhalla banana ke ajza:

- Daal mash (White lentil) 1 ½ cup

- Moong daal (Yellow lentil) 1 cup

- Namak (Salt) 1 tsp

- Kali mirch pisi hui (Black pepper powder) 1 tsp

- Laal mirch pisi hui (Red chilli powder) 1 tbs

- Hari mirch (Green chilli) 1-2

- Pani (Water) hasbe zaroorat

- Tail (Oil) hasbe zaroorat

Dahi mixture bananay ke ajza:

- Dahi (Yogurt) 2 cup

- Cream milk ½ cup

- Sugar powder 3 tbs

Dahi bhallay assembling ke ajza:

- Bhigoye hue bhallay (Soaked bhallay) hasbe zaroorat

- Dahi ka mixture (Yogurt) hasbe zaroorat

- Imli chutney hasbe zaroorat

- Chaat masalha (Spices mix) hasbe zaroorat

- Hara dhaniya (Green coriander) hasbe zaroorat

- Sewaiyan (Vermicelli) hasbe zaroorat

Sub se pehle aik chopper mein bhegooi hui daalmoong ,daal mash, namak, kali mirch powder, laal mirch powder, hari mirch aur pani daal kar achi tarhan blend kar ke side par rakh dein.

-Ab aik pan mein tail garam kar ke is mein chamach se tayyar bhallah mixture daal kar darmiyani aanch par light golden honay tak fry karein.

-Phir tayyar bhallay ko pani mein pandrah se bees minute bhigo dein.

-Ab bhallay se pani nichor kar side par rakh dein.

-Dahi mixture bananay ke liye aik bowl mein dahi, full cream doodh aur cheeni daal kar achi tarhan hila lein dahi mixture tayyar hai.

-Ab bhallay ko serving dish mein rakh kar is par dahi mein rakh kar us par dahi ka mixture, imli ki chatni, chaat masalha, sawaiyan daal kar oopar dhaniya rakhein, mazedar street style dahi bhallay tayyar hain.

Powered byVectraCom