Fish Balls

Machhli (Fish) 500 gram

- Anda (Egg) 1

- Safaid mirch pisi hui (White pepper powder) 1 tsp

- Namak (Salt) hasbe zaiqa

- Shimla mirch (Capsicum) 1

- Gaajar (Carrot) half

- Kala zaitoon (Black olive) 10 gram

- Badam (Almond) 5 gram

- Pista (Pistachio) 5 gram

- Parsley 5 gram

- Zaitoon ka tail (Olive oil) 3 tbs

- Hari mirch (Green chilli) 2

- Makai ka aata (Corn flour) ½ cup

- Maidah (Refined wheat flour) ½ cup

- Double roti ka choora (Bread crumbs) 1 cup

Sub se pehle aik grinder mein machli daal kar grind kar lein.

- Phir is mein anda, safaid mirch powder, namak, sabz Shimla mirch, gaajar, kala zaitoon, badam, pista, parsley, zaitoon ka tail aur sabz mirch daal kar mix kar len.

- Ab is mein corn flour aur maidah daal kar mix kar lein aur tayyar kiye hue mixture ki balls bana lein.

- Phir balls ko corn flour aur anday mein dip kar ke bread crumbs laga lein.

- Ab tayyar ki hui balls ko tail mein deep fry kar len, mazedar fish balls tayyar hain.

Powered byVectraCom