Pizza Cutlets

Aaloo (Potatoes) ½ kg Boiled

- Pani (Water) hasbe zaroorat

- Namak (Salt) hasbe zaiqa

- Kali mirch pisi hui (Black pepper) ½ tsp

- Mixed herbs ½ tsp

- Makai ka aata (Corn flour) ¼ cup

- Shimla mirch (Capsicum) 1 cup

- Kala zaitoon (Black olive) ¼ cup

- Makai (Corns) ¼ cup Boiled

- Pizza sauce ¼ cup

- Mozzarella cheese 1 cup

- Oregano 1 tbs

- Kuti laal mirch (Red chilli crushed) 1 tbs

- Namak (Salt) hasbe zaiqa

- Maidah (Refined wheat flour) 1 cup

- Safaid mirch pisi hui (White pepper powder) ½ tsp

- Namak (Salt) hasbe zaiqa

- Pani (Water) hasbe zaroorat

- Bread crumbs hasbe zaroorat

- Cutlet mixture hasbe zaroorat

- Pizza mixture hasbe zaroorat

- Tail (Oil) hasbe zaroorat

Sub se pehle cutlets mixture bananay ke liye aik pan mein pani aur aaloo daal kar achi tarhan ubaal kar cheel lein.

- Ab aik bowl mein aaloo daal akr achi tarhan koot lein aur is mein namak, kali mirch powder, mixed herbs aur corn flour daal kar achi tarhan mix kar lein mixture tayyar hai.

- Pizza mixture bananay ke liye aik bowl mein Shimla mirch , pyaz, corns, kala zaitoon, , cheese, oregano, kuti laal mirch aur namak daal kar mix karein, pizza mixture tayyar hai.

- Liquid batter bananay ke liye aik bowl mein maidah, safaid mirch powder, namak aur pani daal kar achi tarhan mix Karein liquid batter tayyar hai.

- Ab apne hathon mein aalo ka mixture phaila lein aur phir us par pizza mixture rakh kar cutlet ki shakal mein fold kar lein.

- Ab cutlet ko liquid batter mein rakhein aur bread crumbs mein coat kar lein.

- Phir cutlets ko golden brown honay tak fry kar lein, mazedar pizza cutlets tayyar hain.

Powered byVectraCom