Chicken Tikka Samosa

Chicken tikka mixture bananay ke ajza:

- Chicken bonelees 500 gram

- Dahi (Yogurt) 1 cup

- Adrak pisa hua (Ginger paste) 1 tsp

- Lehsan pisa hua (Garlic paste) 1 tsp

- Tikka masala 2 tbs

- Leemoo ka ras (Lemon juice) 2 tbs

- Tail (Oil) hasbe zaroorat

- Garam koylay (Heated coal pieces) 1-2

- Chicken tikka mixture

- Samosa patti hasbe zaroorat

- Maidah mixture(Refined wheat flour) ½ cup

- Pani (Water) 1 cup

Sub se pehle chicken tikka mixture bananay ke liye aik bowl mein chicken, dahi, adrak ka paste, lehsan ka paste, tikka masalha aur leemoo ka ras daal kar achi terhan mix kar ke 20 se 25 minute marinate honay ke liye rakh dein.

- Ab aik pan mein tail garam kar ke us mein marinate kiya hua chicken daal kar chicken achi terhan paknay tak paka lein, chicken tikka mixture tayyar hai.

- Tikka samosa bananay ke liye aik samosa patti le kar us par chicken tikka mixture dalein aur is par flour mixture lagatay hue mustateel ki shakal mein lapait dein.

- Phir is ko garam tail mein golden brown honay tak fry kar lein, mazedar chicken tikka samosa tayyar hai.

Powered byVectraCom